Like us

Receive all updates via Facebook. Just Click the Like Button Below...

Follow me on Social Networks

Add this !

Monday, May 7, 2012

Story Of The Stone fo "JANNAH"( God's Heaven) in Urdu

7 zil haj 317 hijri ko bahrin kay hakim abu tahir suleman ny makah par qabza karlia..khof o haras ka ye alam tha k is saal 317 hijri ko haj bait u allah na ho saka..koi bhi shaks arfat na ja saka…



"IN’NA LIL’LAHI WA IN’NA ILAIHI RAJIUON"


 
hijr aswad
ye islam my pahla moka tha k haj e bait u allah miquf hogaya..isi abu tahir ny hijr e aswad ko khany qaba sy nikala aur apny sath bahrin ly gaya..phr bano abbas k khalifa mutqadar billah ny abu tahir k sath fasila kia aur 30 hazar dinar diye..tab hijr e aswad khany kaba ko wapis kia gaya..ye wapsi 339 hijri ko hoi…goya 22 saal tak khany kaba hijr e aswad sy khali raha..jab fasila howa k hijr e aswad ko wapis kia jaye ga to is silsily my khalifa e waqt ny ek bary alim muhadas sekh abdullah ko hijr e aswad ki wosoli k liye ek bary wafad k sath bahrin bhejwaya…is ki tafsel ye ha:
jab sekh abdullah bahrin pahanch gay to bahrine k hakim ny ek takrib ka hatimam kia..k is my hijr e aswad ko in k hawaly kia jaye ga…in k liye ek patthar khushbodar,khobsurat gilaf sy nikala gaya..k ye hijr e aswad ha isy ly jayen…
muhadis abdullah ny farmaya k hijr e aswad my 2 nishaniyan hain..ager ye is miyar py pora utra to ye hijr e aswad hoga aur hum is ko ly jayen gy..pahli nishani ye ha…
ye pathar pani my dobta nahi,
dosri ye agg sy garam nahi hota..
ab is patthar ko pani my dala gaya to dob gaya aur agg my dala to is qadar garam ho gaya k phat gaya…..
phr dosra patthar nikala gaya is k sath bhi yahi amal kia to pani my dob gaya aur ag my garam ho gaya..farmaya hum asli hijr e aswad ly k jayen gy…phr asaal hijr e aswad laya gaya…phr us ko agg my dala gaya to thanda nikla aur pani my dala tophol ki tarhan pani k uper terny laga…to muhadis abdullah ny farmaya…, yahi hamara hijr e aswad ha aur yahi khany kaba ki zinat ha aur yahi jannat wala patthar ha/…is waqt abu tahir ko tajub howa…,
is ny kaha : “ye batain apko kahan sy milin”
muhadis abdullah ny farmaya : “ye batain hamain janab e rasol allah saw sy milin hain”
“HIJR E ASWAD PANI MY DOBY GA NAHI AUR AGG SY GARAM NAHI HOGA”
abu tahir ny kaha “ye dean riwayat sy bara mazbot ha”
jab hijr e aswad musalmanon ko mil gaya to isy ek kamzor auntni k uper lada gaya jis ny tez raftar k sath khana kaba phnchaya..is ontni my zabardast qowat agai ,is liye k hijr e aswab apny markaz (bait u allah) ki taraf ja raha tha…
lakin jab isy khana kaba sy nikala gaya tha..aur bahrine ly jaya ja raha tha to jis ount (camel) par laa jata wp mar jata, hat’ta k ahrine pahanchny tak 40 ount (camel) is k nechy mar gaye…
(BACHON KA ISLAM)
( DAR E NAYAB BA HAWALA KITAB MAKAH MUHAMMAD BIN ALI BIN FAZAL AT’TAHRI MAKI)

2 comments:

no doubt this stone Hajr e Aswad is the stone came from Jannah but sad sins of son of Adam made it black http://www.umrahpackagesuk.co.uk/umrah-information/the-black-stone-hijr-e-aswad/

Great post! Thanks for sharing. Really very useful and informative post.
www.alhijaztours.com

Post a Comment